Desh ke kuch bachhe naa jaane kahan kho gay
kya jaane unhe pashchami sabhyata kha gai,
ya swadeshi sanskriti ki kamjori nigal gai
bachhe naa jaane kahan kho gay.
Kuch ko shayed Tim Horton ki Coffee pi gai
Kuch ko shayed " Mind Your Business" daboch gya,
Kuch ko asurakshit karyapranali ka cancer ho gya
bachhe naa jaane kahan kho gay.
Shayed kuch bade ghar wale,
banne ki kamna me dab ke reh gay
Kuch ko apna sunder ghar na bhul pane ne tadpa dala
Kuch chaka chondh ho gay yaha ki jagmag sadko v drishyo mai shayed
Kuch bimari ka ilaaz kara sakne ki asha me latke rahe
Kuch ko sunder pention plan ne bargla liya.
Desh ke kuch bachhe naa jaane kahan kho gay
kya jaane unhe pashchami sabhyata kha gai,
ya swadeshi sanskriti ki kamjori nigal gai
bachhe naa jaane kahan kho gay.
No comments:
Post a Comment